Wednesday, November 4, 2009

Bhaley dino ki baat hai...!


Bhalay dinon ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na yay ke husn e taam ho

na daikhnay main aam si

na yay k wo chalay tu

kehkashan si rah guzar lagay
magar wo saath ho tu phir

bhala bhala safar lagay

koi bhi rutt ho uss ki jhap
faza ka rang roop thi
wo garmioon ki chaoon thi
wo sardion ki dhoop thi

na muddaton juda rahay
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e wafa pay zid
na yay k azn-e-aam ho

na aisi khush libaasian
k saadgii gila karay
na aisi baytakalufi
k aaiinaa haya karay

na ikhtalaat main wo ram
k bud-maza hon khwahishain
na is qadar sapurdagi
k zich karain nawazishain

na aashiqii janoon ki
k zingadi kharaab ho
na iss qadar kathorr pan
k dosti kharaab ho

kabhi to baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi to kasht-e-zafra.n
kabhi udaasion ka ban

suna hai aik umr hai
muamlat-e-dil ki bhi
wisal-e-jan fiza to kya
faraq-e-jan gusal ki bhi


so aik roz kya hua
wafa pay behas chidhh gai
main ishq ko amar kahon
wo meri zid say chidhh gai


main ishq ka aseer tha
wo ishq ko kafas kahay
k umr bhar k saath ko
wo bud-tar az hawas kahay

'shajar hajar nahi k hum
hamesh pa ba gil rahain
na dhorr hain k rassian
galay main mustaqil rahain

mohabaton ki wusatain
humaray dast-o-pa main hain
bas aik dar say nisbatain
sagan-e-ba wafa main hain

main koi painting nahi
k ik frame main rahon
wohi jo man ka meet ho
ussi k praim main rahon

tumhari soch jo bhi ho
main is mizaaj ki nahi
mujhay wafa say bair hai
yeh baat aaj ki nahi..'

na uss ko mujh pay maan tha
na mujh ko uss pay zuam hi
jo ehad hi koi na ho
tu kya gham-e-shikastagi

so apna apna rasta
hansi khushi badal lia
wo apni rah chal parhi
main apni rah chal dia

bhali si aik shakal thi
bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din
nahi, magar kabhi kabhi


2 comments:

  1. Is nazm k shair ka naam yaad nahi reh gaya,,,muafi....aapko maloom ho to meherbani kar k yahan post karein!
    Sheeba

    ReplyDelete
  2. शीबा, आपने इसे रोमन में क्यों पब्लिश किया ? मेहरबानी कर इसे देवनागरी में लिख कर फिर प्रकाशित करें तो बहुत से लोग इसका लुत्फ उठा पाएंगे।
    रोमन में लिखना तो बेहद ज़रूरी सूचनाओं के लिए वाजिब है। साहित्य जैसे आनंद रोमन में नहीं लिए जा सकते।
    जैजै

    ReplyDelete